Yaar Maazi Yeh Toh Batah Mujhe

Yaar Maazi Yeh Toh Batah Mujhe


Yaar Maazi Yeh Toh Batah Mujhe
Jab Paimana Toot Jata hai
Kya Farkh Ki Woh Khaali Hai Ya Bhari Hai

Daulat, Shohrat, Aur Jawaani Nissaar Diya Tha Humne
Khubsoorat Bahaar Ke Qhwaab Dekhe The Humne
Aankh Se Yeh Waqt Ka Wazan Nahin Utarti Hai
Masoom Dil, Bekeraar, Raasta Aaj Bhi Dekhti Hai

Yaar Maazi Yeh Toh Batah Mujhe
Jab Paimana Toot Jata hai
Kya Farkh Ki Woh Khaali Hai Ya Bhari Hai

Meri Jinnh Bhi Ghum Hai Aaj, Bewafaa
Wada Faramosh Ne Chod Diya Mujhe Gumraah
Aaj Dil Ko Hum Samjhate Hain Raat Din Har Ghari
Raakh Ko Mat Cherd, Jo Jal Chuka Hai Woh Pura Nahin Hota Kabhi

Yaar Maazi Yeh Toh Batah Mujhe
Jab Paimana Toot Jata hai
Kya Farkh Ki Woh Khaali Hai Ya Bhari Hai

Sab Kehte Hain Ki Humko Phir Se Yakeen Karna Hai Zindagi Pe
Dil Ko Azaad Karna Hai, Muhabbat Pe Aitbaar Karna Hai Phir Se
Par Mera Saya Abhi Bhi Mujhse Bezaar Hai
Yaadon Ki Sui Dil Mein Abhi Bhi Cheedi Hai

Yaar Maazi Yeh Toh Batah Mujhe
Jab Paimana Toot Jata hai
Kya Farkh Ki Woh Khaali Hai Ya Bhari Hai

No comments:

Post a Comment